Shahrukh Khan said:JB GIRLS
Shahrukh Khan said:Dard-e-dil
kar de jigar
Zamaane ko dikhana hai
Hum kisi se kum nahi hai
Tujko yeh batana hai
Yeh wada raha
Oh meri chandni
tehzeeb said:KHUSHBOO KI POSHAK PEHEN KAR,
KAUN GALI MEIN AYA HAI,
KAISA YEH PAIGHAM RAS HAI,
KIYA KIYA KHABREIN LAYA HAI,
KHIRKI K BAHIR DEKHO,
MOSAM MEREY DIL KI BATEIN,
TUM SAY KEHNEY AAYA HAI...
~CHANDNI~ said:
is chandni raat kai angan mein
mein khawaish kai jhoolai par bethi hoon
bas yunhi tanha gum sum si
chand ko hi dekh rahi hoon
mere hathoon mein woh gajrai hain
jo tum nai mujhe bhaijai hain
is phool ki har ek pankhari mein
meri aas kai lamhai jeetai hain
phooloon mein rachi teri khushboo ko
khud mein samoai bethi hoon
meri ankhoon mein woh sapnai hain
jo teri chahat ki dain hain
is sapnai ki har ek ahat mein
meri dua kai rang shamil hain
sapnoon mein basai tere aks ko
dil mein hi poojti rehti hoon
bas yunhi tanha yadoon mein
sang chandni kai aur sapnoon kai
khawaish kai jhoolai par bethi mein
chand ko hi dekhti rehti hoon
har lamha Rab sai mein bas
tumhein hi mangti rehti hoon
kOoLeSt1 said:nce colection.....
~CHANDNI~ said:
Yaad ata hai bohut woh guzra huwa zamana
Woh School ki life woh bachpan ka yarana
Left right kehtay hoey hathon ko uthana
woh Iqbal ki dua woh asambli ka taranaa
Woh ghanti bajtay he classes say nikalna
Woh lunch mai ja kar cholay chaat kahana
Woh gurmiyon ki chutiyo mai ghumnay ko jana
Woh mastian karna aur mouj manana
Woh tapti hoi dhoop mai cricket khailna
Woh ratoon ko der tuk jagna
Her khuff say azad zindagi guzarna
Woh baat baat par Ammi say zid karna
Woh ghaltioon pay maasomiat say sorry karna
Woh ghusay mai Ammi ka dantna aur raat mai Abbu say shikayetain karna
Woh har shaam ko apnay time pat ghar say nikalna
Aur mahallay mai cricket khailna
Maghrib hotay he ghar ko loutnaa
Werna dadi ji say dant sunnna
Woh dadi ko baat baat par satana
Aur dadi ka shafqat say samjhana
Woh raat ko homework k waqt bahanay karna
Aur class mai miss ka murgha banana
Woh subha mai Ammi ka humko UThana
Aur hamara Ammi ko kahaniya Sunanaa
Late school pohchnay par Madam ka gusse me ana
Aur kehna Madam ka kal Ammi ko bulana
Woh Ammi Abbu ka be ghurz pyar
Woh chacha phopho ka dular
Woh sharatain woh kahaniyan
Lougoon ka jin ko kehna shetaniyan
Moud kar dekhta hoo tu sochta hoo k
Kiya zamana tha woh jo guzar gaya
Woh zamana kitna suhana tha
Waqai kia zamana tha waqai kia zamana tha
Rapunzel said:
Teri yaad mein jeete jeete aik zamana beet gaya
Hum ko apne aap se bichre aik zamana beet gaya
Paani ke parde par tum ne naam wafa ka likha tha
Paani ki lehron ko takte aik zamana beet gaya
Ankhon mein kuch khwab basa kar hum ne jeena chaha tha
Ankhon mein khwabon ko sulagte aik zamana beet gaya
Jate jate phir milne ki aas na dete acha tha
Phir milne ki aas mein jalte aik zamana beet gaya
Kon sune faryaad kisi ki, kon kisi ka dard sahe
Apne aap se baten karte aik zamana beet gaya
~CHANDNI~ said:
Pyaar
Main Ne Parindo Se Pyaar Kya To,,
Woh Urh Gaya
Main Ne Sooraj Se Pyaar Kya To,,,
Woh Gharoob Ho Gaya
Main Ne Chand Se Pyaar Kya To,
Woh Badlon Main Chup Gaya
Main Ne Pani Se Pyaar Kya To,
Woh Beh Gaya
Main Ne Baraf Se Pyaar Kya To,
Woh Pighal Gaya
Main Ne Barish Se Pyaar Kya To,
Woh Baras K Thum Gaya
Main Ne Aag Se Pyaar Kya To,
Woh Bujh Gai
Main Ne Phoolon Se Pyaar Kya To,
Woh Murjha Gaya
Main Ne Kanto Se Pyaar Kya To,
Wo Toot Gaya
Main Ne Janwaron Se Pyaar Kya To,
Woh Meri Zaban Na Samjh Sakay
Or Jab..Main Ne Insaan'on Se Pyaar Kya To,
Woh Be-Wafa Niklay
~CHANDNI~ said:
Miss mine said:
~CHANDNI~ said:
Miss mine said:Humsafar banke hum saath hai aaj bhee
fir bhee hai ye safar ajnabi ajnabi
raah bhee ajnabi mod bhee ajnabi
jaayen hum kidhar ajnabi ajnabi
zindagi ho gayee hai sulagta safar
door tak aa raha hai dhuaan sa nazar
jaane kis mod par kho gayee har khushi
deke dard-e-jigar ajnabi ajnabi
humne chun chun ke tinke banaaya tha jo
aashiyaan hasraton se sajaaya tha jo
hai chaman mein wahi aashiyaan aaj bhee
lag raha hai magar ajnabi ajnabi
kisko maaloom tha din ye bhee aayenge
mausamon kee tarah dil badal jaayenge
din hua ajnabi raat bhee ajnabi
har ghadi har pahar ajnabi ajnabi..
boht piyara
aapki tarah
love u
tehzeeb said:
Rapunzel said:Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyon Nahin Dete,
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyon Nahin Dete.
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata,
Khamosh Khade Ho Kyon Saza Kyon Nahin Dete.
Use Jis Ke Zakham Hain Inaayat Teri,
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyon Nahin Dete.
Kayee Ghar Nahin Baste Hain Jin Ki Vajah Se,
Un Adhjali Rasmon Ko Jala Kyon Nahin Dete.
Us Ne Tumhari Khaatir Kya Kya Nahin Kiya,
Tum Us Ki Wafaaon Ka Sila Kyon Nahin Dete.
Tumhein Mujh Se Mohabbat Hai Jaanta Hoon Main,
Ye Baat Apne Lab Se Bata Kyon Nahin Dete.
Anmol Khazana Hain Muskurahatein Teri,
Thoda Sa Ise Mujh Pe Luta Kyon Nahin Dete.
Wo Aag Jo Dil Mein Lagaai Thi Kabhi Tum Ne,
Wo Aag Aaj Khud Hee Bujha Kyon Nahin Dete.
Ek Arsa Hua Chain Se Soye Huye Hum kO
Mera Chain, Meri Neend Lauta Kyon Nahin Dete...!!
kOoLeSt1 said:Zamany se suna tha k mohabbt har jati
Jo chahat yektrfa ho wo chahat har jati ha,
Kahin per dua ka lefz be asar ke jata ha
Aur kahin berson ke ibaadt har jati ha,
Mohabbt kbi ksi ko dushmani ka durs nae deti
Es ke bazi me edaawt har jati ha,
Hmain ktna be shikwa ho uske jfaaon ka
Usk samny hr aik shikayt har jati ha,
Ek aarzo c ha k us ko bhol jayain hum
Per uske yaad atay he hasrat har jati ha!!
Rapunzel said:
Miss mine said:Tanha rehna seekh rahee hoon
Mar kay jeena seekh rahee hoon
Sabr ko zad-e-rah bana kar
Kaanch pay chalna seekh rahee hoon
Phirtay phirtay sehra sehra
Piyas ko peena seekh rahee hoon
Madhooshee nay bohat satayaa
Hosh main rehna seekh rahee hoon
Dar kay zeher kay piyalay say
Sach ko chupana seekh rahee hoon..
cool
kOoLeSt1 said:wah.....
kia baat hai
Rapunzel said:kathin marhalon ne hansi cheen li
zamane ne zinda dili cheen li
mere zehen.o.dil pe wo yun chah gaye
kay mujhse meri zaat hi cheen li
ghari bhar ko akar mere robaro
meri umer ki ek sadi cheen li
kisi or kay wo khuda ban gaye
to goya meri zindagi cheen li
bara shok tha rothne ka hamain
isi shok ne zidagi cheen li
bohat naaz tha khud per hamain
kisi ne hamari khudi cheen li
kOoLeSt1 said:Teray khushboo main basay khat main jalaata kaisay
Pyar main doobay huay khat main jalaata kaisay
Teray haathon kay likhay khat main jalata kaisay
Jin ko dunia ki nigahon say chupayay rakha
Jin ko ek umr kalejay say lagayay rakha
Deen jin ko jinhain eeman banayay rakha
Jin ka her lafz mughe yaad paani ki terhan
Yaad thay mugh ko pegham-e-zubani ki terhan
Mujhko pyaray thay jo unmol nishaani ki terhan
tu nay dunia ki nigahon say jo bach ker likhay
sal ha saal meray naam barabar likhay
kabhi din main to kabhi raat ko uth ker likhay
teray khat aaj main ganga main bahaa aaya hun
aag behtay huay paani main laga aaya hun
tehzeeb said:JHEEL K KAHRI KINAREY PAR,
WOH JAHAN SHAM DOOB JATI AHI,
AKHRI BAR AA K MILL JAO,
TUM USI RANG K KAPREY PEHNO,
JIS KO AB SAY KAYI BARSO PEHLEY,
PEHNET AYI THI ,YEH KEHNEY MUJH SAY,
DIL KI GEHRAYI SAY CHAHAT HAI TUMHEIN,
BE PANHA MUJH SAY MUHABAT HAI TUMHEIN,
TUJH KO MALOOM NAHI HAI SHAYAD,
TEREY KAPRO K SABHI RANG YE JANE JANA,
MERET JEVAN K SHAB-O-ROZ MEIN DAR AYE THEY,
AKHRI BAR JO AAO,
TO USI RANG K KAPREY PEHNO,
OA USI DHANG SAY DEKHO MUJH KO,
JIS MEIN UMEEDEIN TYHI CHAO THEY,
MUHABAT K JAHAN REHTEY THYE,
AKHRI BAR JO AAO,
WOHI TOHFA LAO,
WOH JO US PEHLI MULAQAT PAR TUM LAYI THI,
APNI CHAHAT KA MEHAKTA TOHFA,
NARAM HONTO KA DEHKTA TOHFA,
AKHRI BAR KUCH IS TARHA SAY MILNEY AAO,
K KAHIN ANKH MEIN,
LAB PAR,
KOI VEERANI NA HO,
MEIN BHI WAISEY HE MILON GA,
APNEY JAZBO KOL LIYE,
JIN SAY IS DIL K KABHI BANDHAN THEY,
JO KABHI MUJH MEIN BHT ROSHAN THEY,
JHEEL K AKHRI KINAREY PAR,
WOH JAHAN SHAM DOOB JATI HAI,
AKHRI BAR JO MUJHEY,
MILL KAR WAPAS LOTO,
TO KUCH IS TARHA LOTO JANA,
KITNI HE SADIYO K JAZBAT ISMEIN ABAD RAHEIN,
MARTEY DAM TAK YEH MULAQAT HAMEIN YAD RAHEY.
tehzeeb said:APNEY GHAR KI KHIRKI SAY MEIN ASMAN KO DEKHO GA,
JIS PEY TERA NAAM LIKHA HAI US TAREY KO DHONDO GA,
TUM BHI YEH SHAB DIYA JALA KAR PALKO KI DEHLEEZ PAR RAKHNA,
MEIN BHI IK KHUWAB TUMHAREY SHEHAR KI JANIB BHEJO GA,
HIJAR K DARIYA MEIN TUM PARHNA LEHRO KI TEHREEREIN BHI,
PANI KI HAR SITAR PAR MEIN BHI DIL KI BATEIN LIKHO GA,
JIS TANHA SAY PEER K NEECHEY HUM BARISH MEIN BHEEGEY THEY,
TUM BHI USEY CHO KAR GUZARNA MEIN BHI US SAY LIPYTO GA,
KHUWAB MUSAFIR LAMHO K HAIN SATH KAHAN TAK JAYEIN GEY,
TUM NEY BILKUL THEIK KAHA HAI MEIN BHI AB KUCH SOCHO GA,
BADAL ORH K GUZRO GA MEIN TEREY GHGAR K ANGAN SAY,
QOS-E-QAZAH K SAB RANGO MEIN TUJH KO BHEEIGA DEKHO GA,
RAAT GAYE JAB CHAND SITAREY LAKAAN MEETHI KEHLAYEIN GEY,
ADHI NEEND KA SAPNA BAN KAR MEIN BHI TUM KO DEKH LO GA,
BE MOSAM BARISH KI TARHA DOOR TALAK OR DAIR TALAK,
TEREY DEYAR-E-HUSAN PAR MEIN KANMAN KANMAN BARSO GA,
SHARAM SAY DOHRA HO JAYE GA KAN PARA WOH BUMDA BHI,
BAD-E-SABA K LEHJEY MEIN IK BAT MEIN AISI POCHO GA,
SAFHA SAFHA IK KITAB-E-MAN SI KHULTI JAYE GI,
OR IS KI LO MEIN PHIR MAIN TUM KO AZBAR KAR LON GA,
WAQT K KANKAR NEY JIS KO ANSOO MEIN TAQSEEM KIYA,
AB-E-RAWA MEIN KAISEY AMJAD AAB WOH CHERA JORO GA.
Rapunzel said:
In Udaas Rahon Per
Iss Akelay Dil Ke Sath
Ker Lia Safar Kitna
Aur Kitna Baqi Hai
Wo Jo Aik Taara Sa
Duur Jhilmilata Hai
Raasta Dikhata Hai
Or Duub Jata Hai
Tab Akelay-Pann Se Dil
Ye Sawaal Kerta Hai
Jugnu-on Ki Khuwahish Main
Titlion Ki Chahat Main
Ker Lia Safar Kitna
Aur Kitna Baqi Hai